Faasle
Kaavish & Quratulain Balouch
5:12Kya bataoon? In sawalon mein kab say yoon phassa hoon Raakh saaray safhay, par likh raha hoon Fasaanay mein zindagi kay Mann ko kesay aur kesay behlaoon? Tukray kaanch kay bikhray zameen par Chalna chahoon par, chaya hai har qadam Ye dhuaan Saans laina hai sazaa Ye wafa tau bazaar mein bikti Ek chehra, haqeeqatein dhair saari Kyu lagay hein khud ki khoj mein sab hee? Haal e dil mein ab kesay samjhaoon? Hai ye uljhay dhaagon sa Meri sochon ka jahan Tukray kaanch kay bikhray zameen par Chalna chahoon par, chaya hai har qadam Ye dhuaan Saans laina hai sazaa Andar tairay raaz kai hein Andar tairay raaz kai hein Khud say jo mil paye ga O yaara, dil say jo sunn paye ga Na chor aas ki dorr ko Sach tu samajh jayega O yaara, phir tu sambhal jayega