Malang (Coke Studio Season 11)
Sahir Ali Bagga
6:38Sitam kiye, bohat kiye, kis-kis ko samjhaun? Ye kaam ki nakamiyan, aao, tujhe batlaun Ishq hansaye, ishq rulaye Kabhi de pankhadiyan, kabhi la giraye Ye naam ki badnaamiyan Ye kaam ki naakamiyan, ho Ye nazar ka dhokha Ye dilon ka sauda Aatish mohabbat ka ye garm jhonka tu jaane na (Ho) tujhe khabar nahi, (ho) ye aag aisi hai (Ho) jo tod deti dil, ye baat aisi hai (na, na, na) Tu jaagta rahe, (tu jaagta rahe) ye raat aisi hai Awargi ye, dost, soghaat aisi hai (whoa, whoa, whoa) (Suno, ek baat kahoon?) Nagar-nagar (mm) guzar gaye (mm) Par na mila thikaana (mm) Hai shayar'on (mm) ne sach kaha (mm) Ishq hai uljha afsana Itraate hain, murjhaate hain Gham khushiyon mein ghul jaate hain Faraz ki likhaiyan (Faraz ki, Faraz ki, Faraz ki) Ye Mir ki duhaiyaan, haan Jaun ki udaasi Josh ka tarana Aatish mohabbat ka ye garm jhonka tu jaane na (Ho) tujhe khabar nahi, (ho) ye aag aisi hai (Ho) jo tod deti dil, ye baat aisi hai (na, na, na) Tu jaagta rahe, ye raat aisi hai (ho) Awargi ye, dost, soghaat aisi hai (na, na, na) Dhola, teriyan udeekan kyun laayian? Rogi keeta hai dil mera, saiyan Jogi, kyun hai tu itna bechara? Kyun maangta hai kamzor baahon ka sahara? Mann bhar jaave, yaar chhod jaave, dar jaate ho tum Galliyan-chobare, majnu pukaare, thak jaate ho tum Bhari jawani mein aankh kar gaya hai teri nam Bewajah ke jholi'on mein de gaya hai gham Ye Heer ki manmarziyan (Heer ki, Heer ki, Heer ki) Ye Faiz ki hain arziyaan (Faiz ki, Faiz ki, Faiz ki, haan) Ye nazar ka dhokha Ye dilon ka sauda Aatish mohabbat ka ye garm jhonka tu jaane na (Ho) tujhe khabar nahi, ye aag aisi hai Jo tod deti dil, ye baat aisi hai Tu jaagta rahe, ye raat aisi hai Awargi ye, dost, soghaat aisi hai Tujhe khabar nahi, (tujhe khabar nahi) ye aag aisi hai Jo tod deti dil, ye baat aisi hai (whoa, oh, oh) Tu jaagta rahe, ye raat aisi hai (tu jaagta rahe) Awargi ye, dost, soghaat aisi hai (ho, ho, ho)