Knock Knock (Live "On The Radar")
On The Radar
3:24Door Hai Kahin Koi Jo rakhta hai mera hisaab Kya hai kyun yeh kab se yahan Main bhi to maangun jawaab Jalate hain dil Jalate ghar Jalte hain roz Jal jaate ik din Dharti ke bojh Ya soch kya hai soz Ummedon ke farash pe Kanche jo bikhre Sametun kaise Khaali jebtoke Yeh ritu badle hai roz Main hun jahan Wo jhootha kyun lagta hai Jaanu na Ye sath jo khade hain jal jayenge Par main maanu na Ik pal lagta hai karmon ki dori ko Rakhun thaam Par yeh laalach ka pahiya Na rukega Phir hoga kya anjaam Door hai kahin koi Jo rakhta hai mera hisaab Kya hai kyun yeh kabse yahan Main bhi to mangu jawaab Subah ko bechun gaane Sham tak ginu kuch aane Kya yehi karne aya hoon Bus jiun isi bahaane Paisa kya hai Jal jayega Arthi pe Tere siraahne Aage bhi hai Ik jahan Jahan dena hai Imtihaan Kya ki tayaari Kya di hai tune Sote ko chaadar Ya boodhe ko roti Jab aai thi teri baari Zariya ban ke sehna mujhko Ya dariya sa behna mujhko Karna hai karne aya hun Par phal ka adhikaari mujhko Na samajho Main hun bhi na Santulan kyun aisa Ya sab dedo ya kuch bhi na Akele mein ghutan Aur bheed mein main khush bhi na Taare pukaarein Par jhoothe bechare toot chuke Mujhe bhi toota samjhe jo Door se hi dekho na Door hai kahin koi Jo rakhta hai mera hisaab Kya hai kyun yeh kabse yahan Main bhi to mangu jawaab Jo kehte the hum denge sath gum mein Sath de rahe khushi mein kisi ki Gila unse bhi na Galti unki bhi na Insaan bana hai bhookha Kyun dekhun kami kisi ki Galat main jo dhoond raha Dard mein hamdard Yeh baarish ki boondein Ya aansuon ka fard (chaadar) Ki tera sahara Kaatun raatein sard Khel hai tera Aur main tera nard (mohra) Door hai kahin koi Jo rakhta hai mera hisaab Kya hai kyun yeh kabse yahan Main bhi to mangu jawaab