Bigdi Bhi Banaige
Fasihuddin Soharwardi
8:24Ne'amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya, Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya Naimatin Banta Jis Samat Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhiyaan gaya Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya Dil hai woh dil jo teri yaad say ma'moor raha Sar hai woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam Lillah Al Hamd main duniya se Musalmaan gaya Jaan o dil hosh wa khirad sab to Madinay pahonche Tum nahi chalte Raza sara to samaan gaya Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya Aaj le unki Panah aaj madad maang unse Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya Uff ray munkar yeh badha joshe ta'assub akhir Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya.