Dooriyan
Pritam
5:38Tune jo na kaha, main woh sunta raha Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha Tune jo na kaha, main woh sunta raha Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha Jaane kiski humein lag gayi hai nazar Is sheher mein na apna thikana raha Door chaahat se main apni chalta raha Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha Dard pehle se hai zyada, khud se phir ye kiya vaada Khamosh nazrein rahein bezubaan Baaton mein pehle si baatein hain, bolo toh lab thartharate hain Raaz ye dil ka na ho bayaan Hoga ya ki asar koi humpe nahi? Hum safar mein toh hain, humsafar hai nahi Door jaata raha, paas aata raha Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha Aaya woh phir nazar aise, baat chhidne lagi phir se Aankhon mein chubhta kal ka dhuan Haal tera na hum sa hai, is khushi mein kyun gham sa hai? Basne laga kyun phir woh jahan? Woh jahan, door jisse gaye the nikal Phir se yaadon ne kar di hai jaise pehel Lamha beeta hua dil dukhata raha Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha Tune jo na kaha, main woh sunta raha Khwah-makhah, bewajah khwaab bunta raha Jaane kiski humein lag gayi hai nazar Is sheher mein na apna thikana raha Door chaahat se main apni chalta raha Bujh gayi aag si, daag jalta raha