Tu Hain Toh (From "Mr. And Mrs. Mahi")
Hunny Bunny
4:44Aankhein dekhiin to main dekhta rah gaya Jaam do, aur donon hi do-aatisha Aankhein ya mai-kade ke ye do baab hain? Aankhein inko kahoon ya kahoon khawaab hain? Aankhein neechi huuiin to haya ban gaiin Aankhein oonchi huuiin to dua ban gaiin Aankhein uth kar jhukiin to ada ban gaiin Aankhein jhuk kar uthiin to qaza ban gaiin Aankhein jin mein hain qaid aasman aur zameen Nargisi, nargisi, surmai, surmai Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahiin Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahiin Aafreen, aafreen, aafreen, aafreen Tu bhi dekhe agar to kahe, hum-nashiin Aafreen, aafreen, aafreen, aafreen Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahiin Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahiin Aisa dekha nahiin khoobsoorat koi Jism jaise, Ajanta ki moorat koi Jism jaise, nigaahon pe jaadu koi Jism naghma koi, jism khushbu koi Jism jaise, machalti hui raagini Jism jaise, mahakti hui chaandni Jism jaise ki khilta hua ek chaman Jism jaise ki sooraj ki pahli kiran Jism tarsha hua dilkash-o-dilnashiin Sandali, Sandali, marmari, marmari Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahiin Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahiin Aafreen, aafreen, aafreen, aafreen Tu bhi dekhe agar to kahe, hum-nashiin Aafreen, aafreen, aafreen, aafreen Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahiin Husn-e-janaan ki taareef mumkin nahiin