Pardesiya (From "Param Sundari")
Sachin-Jigar
3:52Sapna jahan dastak na de Chaukhat thi woh aankhein meri Baaton se thi tadaad mein Khamoshiyan zyada meri Jab se pade tere kadam Chalne lagi duniya meri Mere dil mein jagah Khuda ki khaali thi Dekha wahan pe aaj tera chehra hai Main bhatakta hua sa ek baadal hoon Jo tere aasmaan pe aake thehra hai Tu rooh hai toh main kaaya banun Taa-umr main tera saaya banun Keh de toh ban jaaun bairaag main Keh de toh main teri maaya banun Tu saaz hai, main ragini Tu raat hai, main chandani Mere dil mein jagah Khuda ki khaali thi Dekha wahan pe aaj tera chehra hai Main bhatakta huaa sa ek baadal hoon Jo tere aasmaan pe aakе thehra hai Hum pe sitaaron ka ehsaan ho Poora adhoora har armaan ho Ek-dusrе se jo baandhe humein Baahon mein nanhi si ik jaan ho Aabaad ho chhota sa ghar Lag na sake kisi ki nazar Mere dil mein jagah Khuda ki khaali thi Dekha wahan pe aaj tera chehra hai Main bhatakta huaa sa ek baadal hoon Jo tere aasmaan pe aake thehra hai