Jab Dil Churaya

Jab Dil Churaya

Anand Raaj Anand

Длительность: 5:23
Год: 2002
Скачать MP3

Текст песни

Jab dil churaye koi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaaye phir juda

Jab dil churaye koi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaaye phir juda
Chaahat ke sab afsaane, dil jinko sach hi maane
Banke woh reh jaate hain ek ansuni sada

Ho, kyun dekhe humne chaahat ke sapne?
Dil sochta hai aur rota hai zaar-zaar

Jab dil churaye koi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaaye phir juda

Ye dooriyan dil ki, majbooriyan dil ki
Sach hain, magar phir bhi maane na dil mera
Bheegi si aankhon mein, sooni si raahon mein
Hum le chale hain kitni yaadon ka kaarvaan

Ho, ab mann hi mann mein, deewanepan mein
Dil sochta hai aur rota hai zaar-zaar

Jab dil churaye koi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaaye phir juda
Jab dil churaye koi...

Dil mein tamanna hai, dil mein iraade hain
Khwabon ke mele lekar jaayein bhi toh kahan?
Kuch tum na keh sake, kuch hum na keh sake
Jaane kyun ho jaati hai khamosh ye zubaan

Ho, kya dil ko ho gaya, kya dil ka kho gaya
Dil sochta hai aur (rota hai zaar-zaar)

Jab dil churaye koi, apna banaye koi
Sapne dikhaye aur ho jaaye phir juda
Chaahat ke sab afsaane, dil jinko sach hi maane
Banke woh reh jaate hain ek ansuni sada