Khaamiyan
Sagar Verma
2:39Hazaaro nazaare zindagi ne hai dikhaaye, Yeh ek nazaara, kaise andekha reh gaya, Chaahe na chaahe, badalte hai zamaane, Ab mera hai zamaana aagaya, Likhni hai khud meri kahaaniyan Ab sab umeedein, bhi khud hi se judi hai, Koi doosra sambhaale kyun unhe, Raahein saari, khwaabon se jagmagaati Khwaabon ko paas rakhna hai abhi In khwaabon ke bina kya zindagi. Badalna chaaho aasman, Badal bhi lo, kya hai gunaah Tera hi hai saara jahaan, Tera anokha raasta, Tera hi hai zamaana, maan ja Likh le tu bhi teri kahaaniyan