Karma Song
B. Ajaneesh Loknath, Juno, & Venkatesh D. C.
4:04Aye khawbon mein mere Tu raat bhar aake mujhe sharmaaye Chehre hazaaron hai lekin tujhsa nazar na aaye Mann pyaasa teri chaahat ka Hai mann pyaasa Manga tujhe duao mein Khushboo hai teri hawaao mein Nikle tu ghar se jo gao mein Milke naache malang mann hoke Milke tujhe aisa lage, ke tu zameen pe hoor hai Tum mil gaye, le dil gaye nazre milake doorse Duniya se kya hai vaasta, bass tu mujhe manzoor hai Tu hamnawa hai mera jahan, ye baat ab mahshoor hai Jeena sakenge ab hum bin tere ek din sun le Paani ko chukar ke kahoon, tujhpe ye dil mar mita Dekha tujhe to hum kasam se duniya bhula baithe Bina ejaazat teri mohobbat dil mein basa baithe O meri heeriye, dekhun tujhe to chain dil ko aaye Tera nasha sabse juda, chadhke utar na paaye Nazdeek tu, nazdeek mein Sharm-o-haya mit jaane de Anmol hai chaahat ke pal, ye pal kahin na jaane de Dewaar jo hai darmiyaan usko abhi gir jaane de Tere hai hum karde kadam, kismat meri fir jaane de Jeena sakenge ab hum bin tere ek din sun le Chukar ke lab kehte hai ab, mitne de har faasle Manga nahi phir kuch bhi khuda se, tujhko jo paa baithe Tum jo mile to dil ki alag se duniya bana baithe Aye mann pyaasa teri chaahat ka Aye mann pyaasa