Sapna Jahan (From "Brothers")
Ajay-Atul
5:42Meri adhoori kahani, lo daastaan ban gayi Ho, tune chhua aaj aise, ae, kya se kya ban gayi Sehme hue sapne mere haule-haule angdaiyan le rahe Thehre hue lamhe mere nai-nai gehraiyan le rahe Zindagi ne pehni hai muskaan Karne lagi hai itna karam kyun na jaane Karvat lene lage hain armaan fir bhi Hai aankh nam kyun na jaane Oh, saiyyan Odhun teri kaaya, 16 singaar main saja loon Sangam ki yeh raina, is mein tyohar main mana loon Khushbu teri chhu ke kastoori ho jaun Kitni pheeki thi main, sindoori ho jaun Sur se zara behki hui meri duniya thi badi besuri Sur mein tere dhalne lagi, bani re, piya, main bani bansuri Zindagi ne pehni hai muskaan Karne lagi hai itna karam kyun na jaane Karvat lene lage hain armaan fir bhi Hai aankh nam kyun na jaane Oh, saiyyan (oh, saiyyan) Mere aasman se jo hamesha gumshuda the chaand-taare Tune gardishon ki lay badal di, laut aaye aaj saare Oh, saiyyan