Bhool
Murtaza Qizilbash
4:05Betaabiyaan Bechainiyaan laayi yahan Jaoon kahan tumhaare siwa Ye ranjishein Dukhon bhari ye bandishein Sunaoon kahan tumhaare siwa Be intehaa pyaar tumhein Karte hain tum na samajh pao ge Tou aisay moon ko na morra Iss Dil ko na torro Ke hum hain sataaye huay Kaisa fasaana hai Mera jahaan tum hou Tum hi tou hou aarzu Tum hi hou mera saara sukoon Guzra zamana mein Meri subah tum hou Toota sitaara hoon mein Jab se haara hoon tum se mein yoon Nadaan hai Veeran hai Mann ye mera khud se anjaan hai Tum bekhabar Mein besabar Tumharay liye kya ye asaan hai Dil mera gaaye kabhi Mann ghabraaye kabhi Pyaar mujhe hai hua Tum se haan Dum dum aankhon mein hi Basti hain yaadein sabhi Ishq mujhe hai hua Tum se Toh aao na Lejaao na Uljha hua hoon mein dekho zara Ke Meri aankhon mein gham hai Aur laakhon sitam mein ne khud pe hain dhaaye huay Kaisa fasaana hai Mera jahaan tum hou Tum hi tou hou aarzu Tum hi hou mera saara sukoon Guzra zamana mein Meri subah tum hou Toota sitaara hoon mein Jab se haara hoon tum se mein yoon