Jab Tu Sajan (From "Aap Jaisa Koi")

Jab Tu Sajan (From "Aap Jaisa Koi")

Rochak Kohli

Длительность: 4:12
Год: 2025
Скачать MP3

Текст песни

Tere bina main kya re, hun saanson se juda re
Ruan-ruan hai tu, bas tu, piya
Hai Rabb ki raza tu, jo mujhko mila re
Hawaon sa sukoon hai tu, piya

Tune mujhko pukara yun
Main chala aaya baahon mein
Katt jayein teri chaaon mein
Saare din, yeh saari ratiyaan

Ke jab tu, sajan, mere paas hai
Kuch aur na chahein akhiyaan
Tu hi safar, tu hi meri talaash hai
Kuch aur na chahein akhiyaan

Tu hai dua meri, jo poori huyi
Main toota tara hun
Main pichle janam tera hi tha
Is janam bhi dobara rahoon

Ke jab tu, sajan, mere paas hai
Kuch aur na chahein akhiyaan

Ki tere sang laagi akhiyaan
Raatein hain kayi jaagi akhiyaan
Tujhi mein paya Rabb ko maine
Ho gayi bairaagi akhiyaan

Ki tere sang laagi akhiyaan
Raatein hain kayi jaagi akhiyaan
Tujhi mein paya Rabb ko maine
Ho gayi bairaagi akhiyaan

Ho, ishq ki dhoop chehre pe
Chhanke tere jo mehki hai
Jag rahi hain Diwali si
Mere dil ki saari ratiyaan

Ke jab tu, sajan, mere paas hai
Kuch aur na chahein akhiyaan
Tu hi safar, tu hi meri talaash hai
Kuch aur na chahein akhiyaan

Dhuan-dhuan dhal gaya
Paani mein utar gaya
Jab se hai paya tujhe
Dil mein basaya tujhe

Nadiya, nazaron mein tu
Ik hi hazaron mein tu
Khudse juda na karun
Kabhi main, Khudaya, tujhe

Sajde, sawabon mein
Ishq waale khwabon mein
Dheeme-dheeme behta hai tu

Tu hai dua meri, jo poori huyi
Main toota tara hun
Main pichhle janam tera hi tha
Is janam bhi dobara rahoon

Ke jab tu, sajan, mere paas hai
Kuch aur na chahein akhiyaan